DIL PE LIKHNA CHAHTI HOON PANNO PE LIKHTI JAATI HOON…..
Chalte-Chalte
Raah bhool jaati hoon..
Gun-Gunane ki chah mein
Besura gaa jati hoon…
Karna chahti hoon acha
Kuch galat kar jaati hoon…
Bhid mein baithe huye
Khud ki pehchaan bhool jaati hoon..
Kehna chahti hoon kuch
Kuch badd-badda jaati hoon…
Bevajah bad-baddate huye
Sach kuch bol jaati hoon..
Kabhi kisiko hasaane ki chaah mein
Rula kisiko aati hoon..
Accha karte-karte
Kuch galat kar jaati hoon..
Jeena chahti hoon kisi ki tarah
Khud ki pehchaan bhool jaati hoon..
Uchi chalaang ki aas mein
Khud hi phisal jaati hoon..
Kisi ki dekha dekhi
Kisiki chaal apnaati hoon..
Kisi ke sur pakadte huye
Apni taal bhool jaati hoon..
Khud ke vajood ki talaash mein
Khaali haath ghar aati hoon..
Har subah kuch naye karne ki aas mein
Purani cheejh dohra jaati hoon..
Kisiko apnane ki chaah mein
Purani mein kahi kho jaati hoon..
Sach ki khoj mein
Jhooth har jagah paati hoon..
Likhna chahti hoon panno par
Kagaz par likhti jaati hoon..